Naam-e-Ahmad - Danish & Dawarlatest from out videos

Roman English Lyrics

Salle `Alaa Nabiyyena Salle `Alaa Muhammadin Naam-e-Ahmad ye wo naam hai jo agar Be-irada bhi munh se nikal jaye ga Raah ke sang rezey bikhar jayen ge Ahle be-dard ka dil pighal jaye ga Naam-e-Ahmad ye wo naam hai jo agar Be-irada bhi munh se nikal jaye ga Kamli wale faqat kamli wale nahi Un pe shedaa hai ye aasman or zameen Ik ishare se suraj palat aye ga (agar Allah chahe) Paon rakhein to pathar pighal jaye ga (agar Allah chahe) Naam-e-Ahmad ye wo naam hai jo agar Be-irada bhi munh se nikal jaye ga Raah ke sang rezey bikhar jayen ge Ahle be-dard ka dil pighal jaye ga Sidratul-Muntaha par jo pohenche Nabi Sir jhuka kar ye Jibreel kehne lage Aye Habib-e-Khuda, ab siwa ap ke Is se agay jo jaye ga jal jaye ga Raah ke sang rezey bikhar jayen ge Ahle be-dard ka dil pighal jaye ga Naam-e-Ahmad ye wo naam hai jo agar Be-irada bhi munh se nikal jaye ga Salle `Alaa… Dard unka muhabbat ke bazaar se Apna dil apni jaan bech kar le liya Chand suraj mere ba-mudar ho gaye Un ke qadmo se jis din se ghar le liya Mera dil Mustafa, Mera gham Mustafa Mera dil Mustafa, Mera gham Mustafa Mera sab kuch Khuda ki qasam Mustafa Qabr ke wastay, Hashr ke wastay Chahiye tha jo rakhte safar le liya Aye jab wo tamannaon ke gol me Kainaat aa gayi mere kashkol me Ik nazar bas unhein dekhne ke liye Sari dunia ka husn-e-nazar le liya Saltanat se bhi a`alaa gadayi mili Unka qaidi hua to rihayi mili Rehmato ki sifarish se taqdeer ne Mera har ak jurm apne sir le liya Naam-e-Ahmad ye wo naam hai jo agar Be-irada bhi munh se nikal jaye ga Raah ke sang rezey bikhar jayen ge Ahle be-dard ka dil pighal jaye ga Naam-e-Ahmad ye wo naam hai jo agar Be-irada bhi munh se nikal jaye ga Mujh ko de de Khuda Ishq ki intihaa